Mohabbat Rog Hoti Hai Poetry

tamanna do dilon ki ek hi malum hoti hai

tamannā do diloñ ek ma.alūm hotī hai

ab un har ḳhushī apnī ḳhushī ma.alūm hotī hai

diloñ par sab ke ik afsurdagī ma.alūm hotī hai

tirī mahfil meñ ye kis kamī ma.alūm hotī hai

samajh chaal chal jaatā hai dīvāna mohabbat

ba-zāhir vo bhī ik dīvāngī ma.alūm hotī hai

bajā hañstā hai gar hañstā hai koī mere jiine par

mujhe ḳhud zindagī apnī hañsī ma.alūm hotī hai

jahāñ qudrat kisī se pher letī hai nazar apnī

vahīñ insān be-mā.egī ma.alūm hotī hai

yaqīñ mohkam azā.em āhanī sa.ī-o-amal paiham

unhīñ se aadmī zindagī ma.alūm hotī hai

kamīne ruḳh badalte haiñ havā par to kamīne haiñ

sharīfoñ meñ ye kamzorī burī ma.alūm hotī hai

zarā Thahro mire aañsū to puure ḳhushk hone do

abhī āñkhoñ meñ thoḌī namī ma.alūm hotī hai

udhar to aa zarā muñh chuum luuñ qurbān ho jā۔ūñ

adā-e-barhamī bhī kyā bhalī ma.alūm hotī hai

yahī dil lagī kyā jaane kyā kyā rañg lā.egī

abhī to aap ko ik dil-lagī ma.alūm hotī hai

kisī har tabassum dil ke haq meñ ghaav hai taaza

purānī choT bhī ubhrī huī ma.alūm hotī hai

khilaunā hai dil-e-majbūr-ulfat un ke hāthoñ

mohabbat usī se sādgī ma.alūm hotī hai

ghasīTe jaate haiñ kāñToñ meñ un ke chāhne vaale

ḳhudā jaane mohabbat kyuuñ burī ma.alūm hotī hai

jabīn-e-shauq jab rābta ho un ke qadmoñ se

unhīñ sajdoñ meñ shān-e-bandagī ma.alūm hotī hai

tasarruf diid ke qābil hai 'kāmil' chashm-e-sāqī

nazar milte duniyā dūsrī ma.alūm hotī hai

tamanna do dilon ki ek hi malum hoti hai

ab un ki har KHushi apnī KHushi malum hoti hai

dilon par sab ke ek afsurdagi malum hoti hai

teri mahfil mein ye kis ki kami malum hoti hai

samajh ki chaal chal jata hai diwana mohabbat ka

ba-zahir wo bhi ek diwangi malum hoti hai

baja hansta hai gar hansta hai koi mere jine par

mujhe KHud zindagi apnī hansi malum hoti hai

jahan qudrat kisi se pher leti hai nazar apnī

wahin insan ki be-maegi malum hoti hai

yaqin mohkam azaem aahani sai-o-amal paiham

unhin se aadmi ki zindagi malum hoti hai

kamine ruKH badalte hain hawa par to kamine hain

sharifon mein ye kamzori buri malum hoti hai

zara Thahro mere aansu to pure KHushk hone do

abhi aankhon mein thoDi si nami malum hoti hai

udhar to aa zara munh chum lun qurban ho ja۔un

ada-e-barhami bhi kya bhali malum hoti hai

yahi dil ki lagi kya jaane kya kya rang laegi

abhi to aap ko ek dil-lagi malum hoti hai

kisi ka har tabassum dil ke haq mein ghaw hai taza

purani choT bhi ubhri hui malum hoti hai

khilauna hai dil-e-majbur-ulfat un ke hathon ka

mohabbat ki usi se sadgi malum hoti hai

ghasiTe jate hain kanTon mein un ke chahne wale

KHuda jaane mohabbat kyun buri malum hoti hai

jabin-e-shauq ka jab rabta ho un ke qadmon se

unhin sajdon mein shan-e-bandagi malum hoti hai

tasarruf did ke qabil hai 'kaamil' chashm-e-saqi ka

nazar milte hi duniya dusri malum hoti hai

Source :

  • Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 233)
  • Author : Kamil Shattari
  • Publication : Kamil Academy (1962)
  • Edition : 4th

Also part of

20 Evergreen Ghazals of Ustad Shayar

Everyone who loves classical Urdu Ghazals remembers these Kalams by heart. If you are still unaware of these classic gems, do read here.

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free poetry pages per month. Log In or Register to become Rekhta Family member to access the full website.

Mohabbat Rog Hoti Hai Poetry

Source: https://sufinama.org/ghazals/kamil-shattari-ghazals-8

0 Response to "Mohabbat Rog Hoti Hai Poetry"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel